Daita Hai Dil Yeh Dua Mera Har Dam Tujhe !!!

RelatedPosts


Khalid
Daita hai dil yeh dua mera har dam tujhe
Tu jahan rahe, aabaad rahe,shaad rahe.
Zindagi ki har khushi mile tujhe,
Gham ka saaya bhi tujh se dour rahe.
Moqaddar ka saaya sada tere saath rahe,

Zamaane ki sakhti koi na tere kareeb rahe.
Chahaton ki be-panah barishein milein tujhe,
Zindagi ke saare sukh tujh ko naseeb hon
Tu jahan rahe, aabaad rahe,shaad rahe(mkm)
===================
khalid.m@hotmail.co.uk
===================

Facebook
Twitter
LinkedIn
Pinterest

Comments 8

  1. DEEPAK SHARMA says:

    hi khalid
    you are awesome yaar………
    i am your big fan…..

  2. aminur Rahman says:

    hi khalid bhai apki msg muje bohot pachand aya

  3. NITESH PRATAP SINGH says:

    khalid, kya bat hai yaar itna dard. Nice sayri hai yaar tumhari.

  4. khalid says:

    Nitesh Pratap Singh

    Bahaut bahaut shukriya mere dost apni
    raye pesh karne ka.
    =========================
    khalid.m@hotmail.co.uk
    =========================

  5. dip says:

    i love you kuheli.miss u

  6. gaurav says:

    wo saansein kya jismein teri khusboo na ho.
    wo nazrein kya jismeing teri chamak na ho.
    wo dhadkan kya jismein teri yaad na ho.
    wo zindagi kya jismein tera junoon na ho.
    aur wo maut hi kya jismein tera sukoon na ho..

    miss you priya,

  7. sam says:

    Tumehn jo besubab mujh se khafa hone ki aadat hai

    Ye aaghaz-e-judai hai k andaz-e-muhabbat hai

    Wafa k rang main dekho jafa achi nahi hoti

    Kisi se piyar main itni ana achi nahi hoti

    Faqat kehne ki baaten hain,

    nibhata kon hai kisi ko

    Chalo ab dekh lete hain,

    Manata kon hai kis ko ?

  8. sam says:

    ” Nafrat Ka Zahar ”
    Arbaab Artaqaa Ka Ye
    Kaisa Asool Hai
    Sehra Me Hai Gulaab
    Chaman Me Babool
    Sehra Me Kho gayi Hai
    Baharoun Ki Sar Zameen
    Gulbaar Mousamoun Ki
    Tamanna Fuzool Hai
    Jis Ko Silaeb Waqt Par
    Latka Diya Gaya
    Shayed Ki Sach Kaha Hai
    Yahi Iski Bhool Hai
    Apni Anaa Ke Saamne
    Majboor Hogaya
    Hota Jo Sar Ka Taaj Woh
    Qadmoun Ki Dhool Hai
    Apni Hayath Ko Koi
    Unwaan Na Desaka
    Dil Ke Lahoo Se Likh Ke
    Kahani Malool hai
    Lamhoun Ki Udti Gird Le
    Ab Kis Jagah Panah
    Jab Gaoun Gaoun Murda Rutoun
    Ka Nuzool Hai
    Qud Apne Jism Wo Ruhh
    Ka Le Kaise Jaizah
    Jab Nafratoun Ka Zahar
    Lahoo Me Halool Hai………

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *