Â
Khalid
Mat poocho ye mujhse ke kab yaad aate ho
Jab jab saansein chalti hain bahaut yaad aate ho
Neend mein palkein hoti hain jab bhi bhari
Banke khwaab baar baar nazar aate ho
Mehfil mein shaamil hote hain hum jab bhi
Bhird ki tanhayon mein her baar nazar aate ho
Jab bhi socha ke faasla rakhoon main tum se
Zindagi ban ke saanson mein sama jaate ho
Khud ko toofaan banaane ki koshish to ki
Ban ke saahil apni aagosh mein sama jaate ho
Chaha na tha main ne is paheli mein uljhna
Her uljhan ka jawab ban ke ubhar aate ho
Suraj ki roshni,chanda ki chandni
Aasmaan ko dekhta hoon main jab jab
Tumhari kasam bahaut bahaut yaad aate ho
Ab na poochna mujhse ke kab kab yaad aate ho (mkm)
======================================
======================================
khalid
Comments 5
u r good, but noy lik me, just go on loving sum1
awww i really enjoyed this one,love the poem khalid this is amazing!! …hope you are having a good day huni…
Keep writing, Your doing great. mwah
beautiful shayari…
hey khalid have u posted this shayari before also…???
Hi Khalid,
it is really good……
Jab bhi socha ke faasla rakhoon main tum se
Zindagi ban ke saanson mein sama jaate ho
nice…..
*****************************************
dost………..jub kheyraat bati thi khuda ke ghar to wo mujhe bhool gaya ki mere paas bhi dil hai…………………………usne mere liye koi nahi banaya……………..bus useke khud (khuda ke) ke siva…….