Jab kabhi milte hai unse..
To lagta hai ,
Hum apni kahi khoi huyi khushi se milte hai..
Sar ko rakh lete hai unke dar par khwaish..
Hum unse itni deewangi se milte hai..
Jab kabhi judaa hote hai hum unse..
Koi hosh na koi sukoon milta hai..
Samajhlo jaise hum apni tanhai se milte hai..
Humein nahi koi shonk mehfilon mein rehne ka..
Hum to unke saath mile pal,bheed se dur,
Jahan sirf woh aur hum rahein..
Yun samajhlo badi saadgi se milte hai,
woh jab saath hote hai aapne..
Raunak doondte hai chehro par..
Jis kissi aadmi se milte hai..
Ishq ki khumari ishq karne wale samjhe..
Humein to yun lagta hai raat ki tanhai mein..
Aasmaan k taare bhi apne zameen se milte hai..
Ghumsum se ho jaate hai tanha mein..
Jo woh milte hai to lagta hai,
Hum apni khoi hui hasti se milte hai..
Jab milte hai unse to apni..
Har saans, har lafz,har khwaish,har qadam,har dhadkan,har arzoo, har duaa..
Lagta hai hume kabool ho geyi ho jaise..
Unhe milke hota hai yeh ehsaas..
Jaise hum apni zindagi se milte hai..
*****************************************
Amarjeet Kaur
*****************************************
Comments 3
hy hru Bhae
hi khalid
i m Azharuddin
Aap ki ghazal thori or kashish honi chahiye
waise bahot achhi ghazal hai
kya bataun koun hun or kya hun mai
Aadmi hun khak ka putla hun mai
kya nahi pahchante ho tum mujhe
jan nashine hazrate abdul HAMID hun mai.
Hi Amarjeet
Ab kya kahoon? Jo kaam main karne
wala tha woh Heeren ne kar diya.
Congratulations on this wonderfull
shayari,it is very beautifull.Aur
issi liye main bhi chahta tha keh yeh
front page pe ho.
Kuch farak nahi padta ke yeh main ne
ya Heeren ne kar diya,aakhir dono ka
maqsad to aik hi hai na.
So thanks a lot for this lovely peice
and also thanks to Heeren for posting
it here!
==================================
khalid.m@hotmail.co.uk
==================================